Kashi ki ghaaton se, desh ke doctors ke liye.
Karunya ka matlab hai karuna.
Doctor roz karuna se kaam karte hain. Hamara kaam hai ki woh karuna sahi patient tak pahunche.
Karunya Digital Varanasi se chalne wali healthcare marketing agency hai. Hum Tier 2 shehron ke doctors aur hospitals ke saath kaam karte hain, jahan achhe doctor bahut hain, par online unki aawaaz kam hai.
Founder Bhanu Pratap Rai aur unki team scripts, editing, design aur Google profiles sambhalti hai, taaki doctor apna poora dhyaan patients pe de sakein.
Hum kaise kaam karte hain
Sirf healthcare
Hum restaurants ya showrooms ka kaam nahi karte. Sirf doctors aur hospitals. Isliye hum aapki duniya ki bhasha samajhte hain.
Sach pehle
Ranking ya patients ki guarantee nahi. Mehnat, consistency aur saaf report ki guarantee.
Patient ki bhasha
Hinglish, seedhi baat. Medical jaankari jo ek aam parivaar samajh sake.
Doctor ki haan
Koi bhi post, reel ya ad aapki approval ke bina live nahi hoti. Aapka naam, aapka faisla.
Hum kahan kaam karte hain
- Varanasi
- Meerut
- Lucknow
- Prayagraj
- Amravati
- Siwan